Tuesday, December 13, 2011

night-shift

me masoom nirash dara hua ,
subh ke is pahar me thaka hua
apne ap se bheeter ladta hua
kuch soya to kuchh jaga hua
kabhi muh khula to kabhi band karta hua
kabhi programme likhta hua to
kabhi facebook per chatting karta hua
to kisi se dal-bati banna sikhta hua
adhi khuli ankho se swapn dekhta hua
apni halat pr adha hasta to adha rota hua
kursi per sota to dubra jagta hua
chamse ko pehnta to utarta hua
kabhi curve fitting karta hua
kabhi i2c comm sikhta hue ko
ek security guard ko dekhkar
ek vichar dimag me kondha
20 sal se bina shikayat ke
poori mustaidi or starkta se
kaise kar leta hai ye kam
mehnat me hi hai aram or
jimmedari me hi hai sukun

or lag gya me fir se programming ki duniya me :)